lafz likhnā hai to phir kāġhaz kī niyyat se na Dar
is qadar iz.hār kī be-ma.anaviyyat se na Dar
dekh! gulshan meñ abhī shāḳh-e-tahayyur bāñjh hai
phuul honā hai to khilne kī aziyyat se na Dar
hamrah-e-mausam safar kī bastiyoñ ke darmiyāñ
naqsh-bar-dīvār bārish kī vasiyyat se na Dar
ek halkī sī sadā to bin zabāñ rakhtā hai tū
chaar jānib ḳhāmushī kī aksariyyat se na Dar
āsmāñ ik din patiñgā ho sar-e-sham-e-zamīñ
mom kar apne lahū ko jal aziyyat se na Dar