ḳhudā-rā aa ke mirī lo ḳhabar kahāñ ho tum
mire habīb mire chāra-gar kahāñ ho tum
na rāstoñ kī ḳhabar aur na manziloñ kā pata
kahāñ maiñ jā.ūñ mire rāhbar kahāñ ho tum
ai bāġh-e-dil ke milansār bāġhbān-e-za.īf
daraḳht dene lage haiñ samar kahāñ ho tum
sunā.ī detī hai har pal mujhe tirī āvāz
dikhā.ī kyuuñ nahīñ dete magar, kahāñ ho tum?
ġhazab kī dhuup hai aur sā.ebān koī nahīñ
maiñ jal rahā huuñ mire bām-o-dar kahāñ ho tum
kuchh un kī ḳhair ḳhabar saath le ke aa.e ho?
chale bhī aao mire nāma-bar kahāñ ho tum