na de jo dil hī duhā.ī to koī baat nahīñ
ye chaar din kī ḳhudā.ī to koī baat nahīñ
jo māñgnā hai tujhe sirf ek dar se maañg
ye dar-ba-dar kī gadā.ī to koī baat nahīñ
agarche ḳhvāhish-e-manzil junūñ ke nāḳhun le
ḳhirad kī uqda-kushā.ī to koī baat nahīñ
maza to jab hai bujhe tishnagī-e-ḳhār-e-alam
junūn-e-ābla-pā.ī to koī baat nahīñ
ḳhud apne dil ko banā le tū āstān-e-vafā
haram kī nāsiya-sā.ī to koī baat nahīñ
nikal ga.ī thī mire muñh se dil kī baat jo kal
huī hai aaj parā.ī to koī baat nahīñ
mai-e-suḳhan se na pighle jo ābgīna-e-dil
to 'faḳhr' sho.ala-navā.ī to koī baat nahīñ