ḳhaak the ġhuncha-lab aur ḳhvāb thī lahje kī khanak
jhaḌ gayā qabr meñ jab husn-e-sarāpā kā namak
vo jin āñkhoñ meñ thī barsāt ke manzar kī jhalak
ab un āñkhoñ meñ safedī na siyāhī na dhanak
vo surāhī sī jo gardan kī hai TūTī-phūTī
vo kamar hī na rahī jis meñ ki paidā ho lachak
qabr kī ḳhaak hī ġhāza hai vahī zīnat hai
vaañ na afshāñ na hī surḳhī na hī jhūmar na tilak