ḳhatm kab hogā safar marne ke ba.ad
aur hogā tez-tar marne ke ba.ad
vo samajhnā bhī samajhnā kyā huā
log samjheñge magar marne ke ba.ad
laakh duniyā meñ ho koī lakh-pati
sab kā hāsil hai sifar marne ke ba.ad
ek hī maidān meñ leTe haiñ sab
kyā gadā kyā tājvar marne ke ba.ad
kis qadar bechārgī meñ haiñ paḌe
kaise kaise chāra-gar marne ke ba.ad
dostoñ meñ munqasim ho jā.eñge
kor-chashm aur dīda-var marne ke ba.ad