ab kahīñ aur kahāñ ḳhāk-basar hoñ tire bande jā kar
zindagī aur bhī maġhmūm lage shahr se aage jā kar
adam-ābād ke logoñ kā mizāj in dinoñ kaisā hogā
lauT aane kī tavaqqo.a ho kisī ko to vo pūchhe jā kar
maiñ ghanā peḌ huuñ aayā bhī kabhī jo mire saa.e ko zavāl
in ḳhizāoñ se bahut duur gireñge mire patte jā kar
kaT bhī sakte haiñ shab o roz mire in hī galī kūchoñ meñ
lauTnā hai tirī jānib hī agar tere nagar se jā kar
shā.erī phuul khilāne ke sivā kuchh bhī nahīñ hai to 'zafar'
baaġh hī koī lagātā ki jahāñ khelte bachche jā kar