Danish Farahi

dua hamari kabhi ba-asar nahin hoti

Danish Farahi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1949
duā hamārī kabhī bā-asar nahīñ hotī
tumhārī ham pe karam kī nazar nahīñ hotī
maiñ kyā batā.ūñ tire ġham meñ kyā guzartī hai
vo kaun lamha hai jab aañkh tar nahīñ hotī
ilāj-e-dard-e-mohabbat jo ho to kyuuñ kar ho
ilāhī koī davā kārgar nahīñ hotī
tire ḳhayāl meñ rahtā huuñ maiñ jo gum ai dost
mujhe zamāne kī kuchh bhī ḳhabar nahīñ hotī
ujālā kaise nazar aa.egā kahīñ tum ko
shab-e-firāq kī 'dānish' sahar nahīñ hotī
Top Urdushayar.com