hai aaj añdherā har jānib aur nuur kī bāteñ karte haiñ
nazdīk kī bātoñ se ḳhā.if ham duur kī bāteñ karte haiñ
ta.amīr-o-taraqqī vaale haiñ kahiye bhī to un ko kyā kahiye
jo shīsh-mahal meñ baiThe hue mazdūr kī bāteñ karte haiñ
ye log vahī haiñ jo kal tak tanzīm-e-chaman ke dushman the
ab aaj hamāre muñh par ye dastūr kī bāteñ karte haiñ
ik bhaa.ī ko duuje bhaa.ī se laḌne kā jo dete haiñ paiġhām
vo log na jaane phir kaise jamhūr kī bāteñ karte haiñ
ik ḳhvāb kī vaadī hai jis meñ rahte haiñ hamesha kho.e hue
dhartī pe nahīñ haiñ jin ke qadam vo tuur kī bāteñ karte haiñ
ham ko ye gila mahbūb unheñ afsāna-e-bazm-e-aish-o-tarab
shikva ye unheñ ham un se dil-e-ranjūr kī bāteñ karte haiñ
kyā ḳhuub adā hai un kī 'obaid' andāz-e-karam hai kitnā hasīñ
majbūr ke haq se nā-vāqif majbūr kī bāteñ karte haiñ