apnā muhāsba kabhī karne nahīñ diyā
ḳhud-bīniyoñ ne ham ko sañvarne nahīñ diyā
hālāt ne agarche sujhā.ī gadāgarī
merī anā ne mujh ko bikharne nahīñ diyā
tūfāñ se khelne kā rahā shauq umr bhar
sāhil pe jis ne mujh ko utarne nahīñ diyā
almāriyoñ meñ qaid rahā apnā saarā ilm
qalb-o-nazar ko ham ne nikharne nahīñ diyā
duniyā se kab kā uTh gayā hotā maiñ ai sanam
lekin tire ḳhayāl ne marne nahīñ diyā
manzil to mere sāmne aatī rahī 'obaid'
josh-e-junūñ ne mujh ko Thaharne nahīñ diyā