Obaidur Rahman

ek muddat se jo sine mein basa hai kya hai

Obaidur Rahman

Muzaffarpur, Bihar, India

1961-2014
ek muddat se jo siine meñ basā hai kyā hai
karb-e-ehsās hai yā karb-e-anā hai kyā hai
daur-e-hāzir meñ har ik shaḳhs hai kyuuñ sahmā huā
dil meñ jo ḳhauf hai vo ḳhauf-e-fanā hai kyā hai
mujh ko is lafz kā mafhūm batā do yaaro
dostī naam hai jis kā vo jafā hai kyā hai
baat matlab kī kahūñ us se magar pahle zarā
ye to ma.alūm ho vo ḳhush hai ḳhafā hai kyā hai
is qadar rañj-o-alam itne masā.ib tauba
zindagī silsila-e-āh-o-bukā hai kyā hai
jo giraftār huā is meñ ulajhtā hī gayā
zulf-e-jānāñ bhī koī dām-e-balā hai kyā hai
kitnī hī baar ye chāhā ki zarā dekhūñ to
us kī āñkhoñ meñ jo ik naam likhā hai kyā hai
Top Urdushayar.com