Obaidur Rahman

manzilen aur bhi hain wahm-o-guman se aage

Obaidur Rahman

Muzaffarpur, Bihar, India

1961-2014
manzileñ aur bhī haiñ vahm-o-gumāñ se aage
ham ko karnā hai safar qaid-e-makāñ se aage
paikar-e-sher ko malbūs atā kyā kiije
jab taḳhayyul kī ho parvāz bayāñ se aage
aab aur ḳhaak kī ye bazm hameñ kyā raas aatī
ham ko jaanā thā sitāroñ ke jahāñ se aage
kab talak dair-o-haram kī ye hadīs-e-be-sūd
mas.ale aur haiñ nāqūs-o-azāñ se aage
justujū aur hai kuchh ahl-e-junūñ kī varna
kaun kartā hai safar jā-e-amāñ se aage
karb ko apne tamāsha na banāyā jaa.e
hai adab-gāh-e-vafā āh-o-fuġhāñ se aage
nazr-e-andesha na ho jaa.e kahīñ ziist 'obaid'
baat kuchh aur kareñ sūd-o-ziyāñ se aage
Top Urdushayar.com