Obaidur Rahman

ghar ke andar bholi-bhaali suraten achchhi lagin

Obaidur Rahman

Muzaffarpur, Bihar, India

1961-2014
ghar ke andar bholī-bhālī sūrateñ achchhī lagīñ
muskurātī gul khilātī raunaqeñ achchhī lagīñ
jab sisaktī reñgtī sī zindagī dekhī kahīñ
phir ḳhudā kī dī huī sab nemateñ achchhī lagīñ
ek dil se dūsre dil tak safar karte rahe
rahguzār-e-shauq meñ ye hijrateñ achchhī lagīñ
dhuup ke lambe safar se lauT ke aa.e jo ghar
band kamre meñ sukūñ kī sā.ateñ achchhī lagīñ
dil kī duniyā hasratoñ ke dam se hī ābād hai
gaahe gaahe ham ko apnī hasrateñ achchhī lagīñ
jin gharoñ meñ azmat-e-rafta ke raushan the charāġh
un ke bām-o-dar hameñ un kī chhateñ achchhī lagīñ
aib apne chehre kā kis ko nazar aayā 'obaid'
aa.ine meñ sab ko apnī sūrateñ achchhī lagīñ
Top Urdushayar.com