justujū ke safar meñ rahte haiñ
ham ki paiham ḳhabar meñ rahte haiñ
ham ko kis kī nazar meñ rahnā thā
aur us kī nazar meñ rahte haiñ
aarzū tum hamārī mat karnā
ham duā ke asar meñ rahte haiñ
ham-navā apnā koī ban na sakā
yuuñ to paiham safar meñ rahte haiñ
kal talak the charāġh-e-rāhguzar
bujh ga.e ham to ghar meñ rahte haiñ
juḌ rahī hai amal se ye duniyā
ham agar aur magar meñ rahte haiñ
aib kyūñkar hoñ be-hunar meñ 'obaid'
aib to bā-hunar meñ rahte haiñ