Obaidur Rahman

nikharna aql-o-KHirad ka agar zaruri hai

Obaidur Rahman

Muzaffarpur, Bihar, India

1961-2014
nikharnā aql-o-ḳhirad kā agar zarūrī hai
junūñ kī rāhbarī meñ safar zarūrī hai
haqīqatoñ se jo hotā hai āshnā ai dost
to is ke vāste rāh-e-ḳhatar zarūrī hai
kisī kī nīchī nazar kā salām saath rahe
safar ke vāste zād-e-safar zarūrī hai
magar ye shart hai har lafz ruuh se nikle
duā-e-nīm-shabī meñ asar zarūrī hai
diloñ kā haal na chehroñ se ho sake zāhir
ḳhirad ke daur meñ ye bhī hunar zarūrī hai
'obaid' dūsroñ ko kar chuke bahut talqīn
ab apne aap pe bhī ik nazar zarūrī hai
Top Urdushayar.com