Danish Farahi

kis qadar iztirab hai yaro

Danish Farahi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1949
kis qadar iztirāb hai yaaro
zindagī ik azaab hai yaaro
dil mirā saaf aa.ine kī tarah
ek saada kitāb hai yaaro
maiñ huuñ nākām ishq meñ lekin
kyā koī kāmyāb hai yaaro
jab se dekhā hai is ne hañs ke mujhe
dil kī hālat ḳharāb hai yaaro
ġham-e-jānāñ to rāhat-e-dil hai
fikr-e-duniyā azaab hai yaaro
us ne shāyad kiyā hai yaad mujhe
dil meñ kyuuñ iztirāb hai yaaro
pūchhte kyā ho us kā naqsh-o-nigār
aap apnā javāb hai yaaro
sun sakūñgā na dāstān-e-ishq
ab kahāñ mujh meñ taab hai yaaro
kyā karegā koī ḳharāb use
jo azal se ḳharāb hai yaaro
kuchh batāo ki aaj 'dānish' par
kyuuñ sitam be-hisāb hai yaaro
Top Urdushayar.com