hashr ik guzrā hai vīrāne pe ghar hone tak
jaane kyā biitī hai daane pe shajar hone tak
hijr kī shab ye mire soz-e-darūñ kā aalam
jal ke maiñ ḳhaak na ho jā.ūñ sahar hone tak
ahl-e-dil rahte haiñ tā-zīst vafā ke pāband
sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hone tak
be-qarārī kā ye aalam hai sar-e-shām hī jab
dekheñ kyā hotā hai is dil kā sahar hone tak
dekheñge hashr jafāoñ kā ham un kī 'dānish'
rah ga.e zinda jo aahoñ ke asar hone tak