Sajid Hameed

zahr mein Dubi hui surKH hikayat mein gum

Sajid Hameed

Shimoga, Karnataka, India

zahr meñ Duubī huī surḳh hikāyāt meñ gum
dil girafta hai havā mauja-e-asvāt meñ gum
munkashif hotā huā lamha-e-māzī kā nishāñ
aañkh jhapkī thī huā dūd-e-ḳharābāt meñ gum
shaam kī sā.at-e-avval meñ falak par jā kar
ham ne dekhā hai samundar ko ḳhayālāt meñ gum
ūñghtī raat ke māthe pe chamaktī bindiyā
dekh kar ho ga.ī nadiyā bhī savālāt meñ gum
vo jo ik lamha-e-hairāñ thā subuk-rau tanhā
ho gayā hai tirī āñkhoñ ke tilismāt meñ gum
muskurātā pas-e-tasvīr thā shā.ista samāñ
jaane kyuuñ ho gayā nādīda mahākāt meñ gum
vo qarīna jise sadiyoñ ne kiyā hai paidā
phir na ho jaa.e kahīñ shorish-e-jazbāt meñ gum
Dhal gayā kaise larazte hue tāroñ meñ hamīd
jo thā aañsū mirī palkoñ pe mudārāt meñ gum
Top Urdushayar.com