dard itnā bhī nahīñ hai ki chhupā bhī na sakūñ
bojh aisā bhī nahīñ hai ki uThā bhī na sakūñ
yuuñ samā.ī hai in āñkhoñ meñ batā bhī na sakūñ
dil kī dīvār pe tasvīr sajā bhī na sakūñ
ḳhairiyat pūchhte rahte ho magar haal ye hai
us kī āvāz meñ āvāz milā bhī na sakūñ
aa mire paas zarā sun ke batā kahtī hai kyā
dil kī dhaḌkan jo sar-e-ām sunā bhī na sakūñ
jabr dekhā thā magar aisā nahīñ dekhā thā
aise pahre haiñ ki palkeñ maiñ uThā bhī na sakūñ
uñgliyāñ chaak huā kartī thiiñ pahle 'sājid'
ab ga.e haath ki maiñ haath milā bhī na sakūñ