shīshe se ziyāda nāzuk thā ye shīsha-e-dil jo TuuT gayā
mat pūchho ki mujh par kyā guzrī jab haath se sāġhar chhūT gayā
tārīki-e-mahfil kā shikva tum karte ho ai dīvāno kyuuñ
ḳhud sham.a bujhā dī hai tum ne ḳhud-baḳht tumhārā phuuT gayā
saaqī kī nazar uThtī hī nahīñ kyuuñ bāda-o-sāġhar kī jānib
sarmāya-e-mai-ḳhānā aa kar kyā koī luTerā luuT gayā
mahrūmī-e-qismat kā aalam kyā pūchh rahe ho tum mujh se
manzil to abhī hai duur bahut aur ik ik sāthī chhūT gayā
uThtā hai 'dānish' dil se dhuāñ āñkhoñ se Tapakte haiñ aañsū
kyā ātish-e-ġham dene lagī lau kyā dil kā phaphūlā phuuT gayā