Sewak Nayyar

rah-e-talab mein na kar is tarah KHarab mujhe

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
rah-e-talab meñ na kar is tarah ḳharāb mujhe
Thaharne de kahīñ ai chashm-e-intiḳhāb mujhe
bulā rahā hai kahīñ ishq sū-e-dār-o-rasan
pukārtā hai kahīñ husn-e-be-naqāb mujhe
maiñ ek zarra-e-nāchīz hī sahī lekin
nigāh vaale samajhte haiñ āftāb mujhe
bas ek jurm-e-mohabbat pe us sitamgar ne
diye haiñ shām-o-sahar saikḌoñ azaab mujhe
luTī luTī sī shab-e-ġham hai chāñdnī 'nayyar'
bujhā bujhā nazar aatā hai māhtāb mujhe
Top Urdushayar.com