Sewak Nayyar

ba-faiz-e-gardish-e-ayyam hum ko

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
ba-faiz-e-gardish-e-ayyām ham ko
kisī sūrat nahīñ ārām ham ko
sukūñ dushman junūñ-parvar irādao
na kar denā kahīñ badnām ham ko
fasurda ḳhalvatoñ meñ yaad aa kar
rulāte haiñ vo sub.h-o-shām ham ko
uThā ai mutribā sāz-e-mohabbat
pilā ai sāqī-e-gulfām ham ko
na ham ko zindagī kī hai zarūrat
na duniyā se hai koī kaam ham ko
kisī kī bevafā.ī ke fasāne
sunātā hai dil-e-nākām ham ko
kisī ne apnī mast āñkhoñ se 'nayyar'
diyā hai pyaar kā paiġhām ham ko
Top Urdushayar.com