Sewak Nayyar

mahfil mein agar saqi-e-gulfam nahin hai

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
mahfil meñ agar sāqī-e-gulfām nahīñ hai
rindoñ ko mai-o-jām se kuchh kaam nahīñ hai
ārām se haiñ aur sabhī log jahāñ meñ
ham ishq ke māroñ ko hī ārām nahīñ hai
ai rāhrav-e-rāh-e-mohabbat ye samajh le
is raah meñ rāhat kā kahīñ naam nahīñ hai
lazzat-kash-e-āġhāz-e-mohabbat hai abhī dil
dīvāne ko andesha-e-anjām nahīñ hai
kyā aa.egā vo ahl-e-mohabbat kī nazar meñ
duniyā-e-mohabbat meñ jo badnām nahīñ hai
pur-nūr hai jo aks-e-ruḳh-e-yār se 'nayyar'
us sub.h-e-munavvar kī koī shaam nahīñ hai
Top Urdushayar.com