kahīñ din Dhalā kahīñ shab huī kahīñ shaam aa.ī sahar ga.ī
kisī bevafā kī talāsh meñ mirī umr yuuñ hī guzar ga.ī
tere husn-e-ishq-e-navāz ne mujhe ḳhush-nasīb banā diyā
mire ranj-o-ġham ko miTā diyā mirī ḳhasta-hālī sañvar ga.ī
maiñ kise sunā.ūñ ye dāstāñ maiñ kise batā.ūñ ye mājrā
kisī nāznīñ kī har ik adā mire dil jigar meñ utar ga.ī
tire jalve zīnat-e-gulsitāñ tū hī mehr-o-māh meñ zau-fishāñ
tire husn se huī āshnā jahāñ tak hamārī nazar ga.ī
tumheñ yaad maiñ na karūñ kabhī tumheñ apne dil se nikāl duuñ
yahī kaam mujh se na ho sakā mirī zindagānī guzar ga.ī