be-ruḳhī se na pesh aa saaqī
TuuT jā.egā dil mirā saaqī
bhuul jā.ūñ maiñ ranj-o-ġham saare
aaj aisā nasha pilā saaqī
mai-kashoñ se hijāb kyā ma.anī
sāmne be-naqāb aa saaqī
aah maazī mirā hasīñ maazī
lauT kar ab na aa.egā saaqī
raaz merī siyāh-baḳhtī kā
kaun jaane mire sivā saaqī
dasht-e-ġham meñ bhaTak gayā huuñ maiñ
raah koī mujhe dikhā saaqī
dair-o-ka.aba meñ ghuum kar 'nayyar'
terī mahfil meñ aa gayā saaqī