Sewak Nayyar

parda haTa ke jab wo hasin muskuraega

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
parda haTā ke jab vo hasīñ muskurā.egā
bijlī hamāre hosh-o-ḳhirad par girā.egā
kyā thī ḳhabar ki tark-e-ta.alluq ke baad bhī
ham ko vo shoḳh parda-nashīñ yaad aa.egā
ummīd-o-ārzū kī tabāhī to dekh lī
ab aur kyā hameñ ye muqaddar dikhā.egā
ai qalb-e-zār sabr-o-tahammul se kaam le
kab tak kisī kī yaad meñ aañsū bahā.egā
merī zabāñ se sun na sake vo agar to kyā
rūdād merī un ko zamāna sunā.egā
jis raaz ko chhupā na sake qais-o-kohkan
ai qalb-e-ġham-nasīb tū kaise chhupā.egā
'nayyar' ġhamoñ kī tez havāoñ ke sāmne
kab tak ḳhayāl-o-ḳhvāb kī sham.a jalā.egā
Top Urdushayar.com