dil-e-betāb kā payām liyā
phir kisī ne mirā salām liyā
ruuTh kar ham se tū ne ai zālim
kis ḳhatā kā hai intiqām liyā
ho ke majbūr josh-e-ulfat se
ham ne dāman kisī kā thaam liyā
phuul jhaḌne lage zabāñ se mirī
jab kisī gul-badan kā naam liyā
kaam aa.e na aql-o-hosh jahāñ
ham ne dīvāngī se kaam liyā
Dagmagāte hue mire dil ko
us hasīñ ajnabī ne thaam liyā
shiddat-e-ranj-o-ġham meñ ai 'nayyar'
ham ne jām-o-subū se kaam liyā