Danish Farahi

sitam ke baad bhi baqi karam ki aas to hai

Danish Farahi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1949
sitam ke ba.ad bhī baaqī karam kī aas to hai
vafā shi.ār nahīñ vo vafā shanās to hai
vo dil kī baat zabāñ se na kuchh kaheñ shāyad
hamāre haal pe chehra magar udaas to hai
ye dil-fareb banaras kī subah kā manzar
avadh kī shām-e-dil-ārā hamāre paas to hai
bharam rahegā tire mai-kade kā bhī saaqī
balā se ḳhālī sahī haath meñ gilās to hai
chale hī jaa.eñ nigāhoñ se duur aap magar
hasīn yādoñ kī daulat hamāre paas to hai
kare bhale hī na rahmat kī mujh par tū bārish
tire karam kī mire dil meñ ek aas to hai
ye sach hai us ne bujhā.ī na tishnagī lekin
hamārī tishna-dahānī kā us ko paas to hai
durust hai ki farishta-sifat nahīñ 'dānish'
ḳhudā gavāh basīrat kī us ko pyaas to hai
Top Urdushayar.com