ḳhaak tak mere āshiyāne kī
le uḌī hai havā zamāne kī
apnī taqdīr āzmāne kī
aarzū hai kisī ko paane kī
kyā karoge hamārā dil le kar
tum ko aadat hai bhuul jaane kī
sach kaho kis se pyaar hai tum ko
ham se kyā baat hai chhupāne kī
ham yūñhī chāhte raheñge tumheñ
ham ko parvā nahīñ zamāne kī
barq-o-bārāñ se pūchh ai bulbul
dāstāñ mere āshiyāne kī
koī tadbīr ai dil-e-nādāñ
baat bigḌī huī banāne kī
sāqiyā terī mai-fishāñ nazreñ
aabrū haiñ sharāb ḳhāne kī
ham ko pāmāl kar ga.ī 'nayyar'
har adā sañg-dil zamāne kī