Sewak Nayyar

qalb-e-alam-nasib ki tishna-labi bujhae ja

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
qalb-e-alam-nasīb kī tishna-labī bujhā.e jā
ai mere sāqiyā mujhe shām-o-sahar pilā.e jā
ai dil-e-be-qarār sun rone se fā.eda hai kyā
jis ne bhulā diyā tujhe tū bhī use bhulā.e jā
barsar-e-bām aa ke tū parda-e-ruḳh haTā zarā
ham bhī haiñ sāhib-e-nazar ham ko bhī āzmā.e jā
zauq-e-tulū-e-sub.h bhī degī ye tīrgī tujhe
raat tavīl hai to kyā dil kā diyā jalā.e jā
jān-e-bahār-e-gulsitāñ zohra-jamāl nāznīñ
'nayyar'-e-ḳhush-ḳhayāl ke fikr-o-nazar pe chhā.e jā
Top Urdushayar.com