Sewak Nayyar

is dil ko tah-e-tegh sula kyon nahin dete

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
is dil ko tah-e-teġh sulā kyoñ nahīñ dete
har roz kā jhagḌā hai miTā kyoñ nahīñ dete
chehre se naqāb aap uThā kyoñ nahīñ dete
halkī sī jhalak ek dikhā kyoñ nahīñ dete
hairāñ huuñ ki ye shoḳh-o-hasīñ māh-jabīñ log
badle meñ vafāoñ ke vafā kyoñ nahīñ dete
rahzan ho to phir saath chale aate ho kyūñkar
rahbar ho to manzil kā pata kyoñ nahīñ dete
ġham aur bhī dil kā jo shab-e-hijr baḌhā.e
is sham-e-fasurda ko bujhā kyoñ nahīñ dete
is dil kī tabāhī pe pashemāñ ho agar tum
is ḳhāna-vīrāñ ko basā kyoñ nahīñ dete
vo baat ki jo tark-e-ta.alluq kā sabab hai
vo baat hameñ aap batā kyoñ nahīñ dete
betāb mohabbat meñ ho gar itne hī 'nayyar'
afsāna-e-dil un ko sunā kyoñ nahīñ dete
Top Urdushayar.com