Sewak Nayyar

chhu kar kisi ki zulf-e-muattar machal gae

Sewak Nayyar

Delhi, India

1948
chhū kar kisī kī zulf-e-muattar machal ga.e
jhoñke ḳhunuk havāoñ kī ḳhushbū meñ Dhal ga.e
kis se kareñ umīd-e-vafā is jahān meñ
is dil ko jin pe naaz thā vo bhī badal ga.e
jis vaqt ham ne jhuum kar azm-e-safar
lākhoñ charāġh rāh-e-mohabbat meñ jal ga.e
ai dost ham ne ishq-o-mohabbat kī raah meñ
Thokar to saḳht khaa.ī thī lekin sambhal ga.e
'nayyar' hamāre dil meñ the armān jis qadar
ālām-e-rozgār ke sāñche meñ Dhal ga.e
Top Urdushayar.com