kuchh apne daur kī bhī kahānī likhā karo
patthar ko mom ḳhuun ko paanī likhā karo
jiddat kī rau meñ log kahāñ se kahāñ ga.e
tum se bane to baat purānī likhā karo
vo ahd hai ki shola-fishāñ bijliyoñ ko bhī
ġhazloñ meñ rañg-o-nūr kī raanī likhā karo
lafzoñ ko apne asl ma.ānī se aar hai
ab dostoñ ko dushman-e-jānī likhā karo
hai be-hisoñ kī bhiiḌ na hogā koī asar
aḳhbār meñ hazār girānī likhā karo
likhne ke vāste koī unvān chāhiye
fariyād-o-āh-o-ashk-fishānī likhā karo
shohrat ke ḳhvāstgāro mirā mashvara hai ye
'ġhālib' kā apne aap ko saanī likhā karo
'dānish' zah-e-nasīb mile zaḳhm-e-lāla-rañg
har zaḳhm-e-dil ko un kī nishānī likhā karo