kuchh is tarah se zamāne pe chhānā chāhtā hai
vo āftāb pe pahre biThānā chāhtā hai
ta.alluqāt ke dhāge to kab ke TuuT chuke
magar ye dil hai ki phir aanā jaanā chāhtā hai
jo qatra qatra ikaTThā huā thā āñkhoñ meñ
vo ḳhuun ab mirī palkoñ pe aanā chāhtā hai
chaTaḳh rahā hai jo rah rah ke mere siine meñ
vo mujh meñ kaun hai jo TuuT jaanā chāhtā hai
amīr-e-shahr tirī bandisheñ ma.āz-allāh
faqīr ab tirī bastī se jaanā chāhtā hai
ye ḳhvāhishāt kā panchhī ajiib hai har roz
na.ī fazā.eñ nayā āb-o-dānā chāhtā hai
udāsī jhāñkne lagtī hai us kī āñkhoñ se
vo shaḳhs jab bhī kabhī muskurānā chāhtā hai