Ehtisham Akhtar

Thahre pani mein nihan ek hasin KHwab bhi hai

Ehtisham Akhtar

1944
Thahre paanī meñ nihāñ ek hasīñ ḳhvāb bhī hai
aas kī jhiil meñ aks-e-ruḳh-e-mahtāb bhī hai
dasht-e-tanhā.ī ke tapte hue vīrāne meñ
terī yādoñ kā hai ik peḌ jo shādāb bhī hai
paar karnā baḌā mushkil hai ki ye bahr-e-havas
kahīñ gahrā hai bahut aur kahīñ pāyāb bhī hai
is kī tasvīr meñ āñkhoñ meñ basā luuñ ki ye shai
laakh arzāñ sahī mere liye nāyāb bhī hai
yuuñ to lagtā hai samundar baḌā ḳhāmosh magar
us ke siine meñ nihāñ karb kā sailāb bhī hai
ye tamannāoñ kī sūkhī huī nadī 'aḳhtar'
apnī āñkhoñ meñ sajā.e hue ik ḳhvāb bhī hai
Top Urdushayar.com