Ehtisham Akhtar

hazaron sal se main jis ke intizar mein tha

Ehtisham Akhtar

1944
hazāroñ saal se maiñ jis ke intizār meñ thā
vo aks-e-ḳhvāb to mere hī iḳhtiyār meñ thā
vo merī zaat ke partav se māhtāb huā
vagarna kurra-e-be-nūr kis shumār meñ thā
koī lagāo na thā ab hare shajar se mujhe
maiñ barg-e-ḳhushk thā uḌte hue ġhubār meñ thā
safar meñ yūñhī jhulastā rahā ḳhabar na huī
ki ThanDe paanī kā chashma bhī rahguzār meñ thā
maiñ bad-gumāñ na kabhī us se ho sakā 'aḳhtar'
ajab tarah kā maza us ke jhūTe pyaar meñ thā
Top Urdushayar.com