Ehtisham Akhtar

sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe

Ehtisham Akhtar

1944
satā rahī hai bahut machhliyoñ kī baas mujhe
bulā rahā hai samundar phir apne paas mujhe
havas kā shīsha-e-nāzuk huuñ phuuT jā.ūñgā
na maar khīñch ke is tarah sañg-e-yās mujhe
maiñ qaid meñ kabhī dīvār-o-dar kī rah na sakā
na aa sakā kabhī shahroñ kā rañg raas mujhe
maiñ tere jism ke dariyā ko pī chukā huuñ bahut
satā rahī hai phir ab kyuuñ badan kī pyaas mujhe
mire badan meñ chhupā hai samundaroñ kā fusūñ
jalā sakegī bhalā kyā ye ḳhushk ghaas mujhe
giregā TuuT ke sar par ye āsmān kabhī
Darā.e rakhtā hai har dam mirā qayās mujhe
jhulas rahā huuñ maiñ sadiyoñ se ġham ke sahrā meñ
magar hai abr-e-gurezāñ kī phir bhī aas mujhe
Top Urdushayar.com