varaq varaq ye fasāna bikharne vaalā thā
bachā liyā mujhe us ne meñ marne vaalā thā
shagufta phuul pareshāñ huā to ġham na karo
ki vo to yuuñ bhī havā meñ bikharne vaalā thā
maiñ us ko dekh ke phir kuchh na dekh pā.ūñgā
ye hādisa bhī mujhī par guzarne vaalā thā
sadā-e-sañg ne mujh ko bachā liyā varna
maiñ is pahāḌ se Takrā ke marne vaalā thā
maiñ be-qusūr huuñ ye faisla huā varna
maiñ apne jurm kā iqrār karnā vaalā thā
pahāḌ sīna-sipar ho gayā thā mere liye
vagarna mujh meñ samundar utarne vaalā thā