Ehtisham Akhtar

charagh dil ka tha raushan bujha gaya pani

Ehtisham Akhtar

1944
charāġh dil kā thā raushan bujhā gayā paanī
ki ban ke sail-e-balā ghar meñ aa gayā paanī
ḳhulūs pyaar vafā sab usī ke saath ga.e
mohabbatoñ ke nishāñ sab miTā gayā paanī
chaḌhā huā thā jo dariyā utar gayā lekin
hamārī ūñchī imārat Dhahā gayā paanī
bujhegī pyaas bhalā kyā zamīñ kī ashkoñ se
hamārī aañkh meñ kyuuñ aaj aa gayā paanī
huī jo bārish-e-ġham to badal ga.e manzar
zarā sī der meñ kyā kyā dikhā gayā paanī
Dubo hī degā tumheñ ab nadī kā ye sailāb
kahāñ bachoge ki ab ghar meñ aa gayā paanī
maiñ ab ye shahr-e-havas chhoḌ kar kahāñ jā.ūñ
mujhe to raas yahāñ kā ab aa gayā paanī
Top Urdushayar.com