nafas nafas zindagī ke ho kar ajal kī tash.hīr kar rahe haiñ
ye kis jatan meñ lage haiñ ham sab kise jahāñgīr kar rahe haiñ
kahāñ pata thā tirī shafaq hī pas-e-ġhubār-e-zavāl hogī
tujhī ko mismār kar diyā thā tirī hī ta.amīr kar rahe haiñ
rah-e-shahādat pe sar ke hamrāh ik aaseb chal rahā hai
hamīñ na nikleñ yazīd-e-daurāñ ki ḳhud ko shabbīr kar rahe haiñ
sadā.eñ detī huī ḳhalā.eñ kahīñ zamīnoñ tak aa na jaa.eñ
ye ḳhvāb-kārī-e-pur-takalluf barā-e-ta.abīr kar rahe haiñ
agarche pahle yaqīn kam thā par ab to tasdīq ho chukī hai
na jaane radd-e-amal meñ kyuuñ ham mazīd tāḳhīr kar rahe haiñ
hamāre saare gunāh vaa.iz maqāla-e-iftitāhiya haiñ
abhī to ham nāma-e-amal kā muqaddama tahrīr kar rahe haiñ