zindagī ishq-o-mohabbat se javāñ hotī hai
varna be-kaif sī be-tāb-o-tavāñ hotī hai
ishq kī lau se jo raushan rag-e-jāñ hotī hai
sham.a ban jaatī hai be-ishq dhuāñ hotī hai
kaun ham jaisoñ ko is mai kā pata detā hai
pahle kuchh log batāte the ki haañ hotī hai
hāv-hū shor jo ham sunte haiñ mai-ḳhāne meñ
mai-gusāroñ ke liye bāñg-e-azāñ hotī hai
ik na ik nāseh-e-mushfiq bhī Tapak paḌtā hai
mai-gusārī kī koī baat jahāñ hotī hai
ai 'hakīm' aao vo mai-ḳhāna khulā rahtā hai
asl mai sāqī-e-kausar ke vahāñ hotī hai