Gulam Nabi Hakeem

jahan-e-rang-o-bu kitna hasin hai

Gulam Nabi Hakeem

Amritsar, Punjab, India

1901
jahān-e-rañg-o-bū kitnā hasīñ hai
ye gulshan rashk-e-firdaus-e-barīñ hai
mirā husn-e-nazar husn-āfrīñ hai
ki har zarra jahāñ kā mah-jabīñ hai
tirī hastī se qaa.em hai ye hastī
ye hastī ḳhud koī hastī nahīñ hai
tirā dar chhoḌ kar jaa.eñ kahāñ ham
ki ye amn-o-amāñ kī sar-zamīñ hai
fasād-añgezī-e-āb-o-havā se
mizāj-ḳhāk yaañ ab ātishīñ hai
'hakīm' is se ḳhudā mahfūz rakkhe
ye sarkash nafas mār-e-āstīñ hai
Top Urdushayar.com