Raghib Muradabadi

haq baat hi kahenge sar-e-dar dekhna

Raghib Muradabadi

Delhi, India

1918-2011
haq baat hī kaheñge sar-e-dār dekhnā
ahl-e-qalam kī jur.at-e-iz.hār dekhnā
dekheñ jinheñ haiñ dair ke dīvār-o-dar aziiz
ham ko to sirf sū-e-dar-e-yār dekhnā
kartā rahā qalam yūñhī shāḳheñ jo bāġhbāñ
nāpaid hogā sāya-e-ashjār dekhnā
sarkār aap par jo chhiḌakte haiñ jaan aaj
bach kar chaleñge kal ye namak-ḳhvār dekhnā
buniyād jis kī hai havas-e-iqtidār par
hone ko hai vo qil.a bhī mismār dekhnā
Daalā jo tum ne haath kulāh-e-avām par
lag jā.eñge saroñ ke bhī ambār dekhnā
Top Urdushayar.com