Raghib Muradabadi

ajib intishaar hai zamin se aasman tak

Raghib Muradabadi

Delhi, India

1918-2011
ajiib intishār hai zamīñ se āsmān tak
ġhubār hī ġhubār hai zamīñ se āsmān tak
vabā.eñ qaht zalzale lapak rahe haiñ pai-ba-pai
ye kis kā eqtidār hai zamīñ se āsmān tak
bisāt-e-ḳhāk bhī tapāñ ḳhalā bhī hai dhuāñ dhuāñ
bas ik azāb-e-nār hai zamīñ se āsmān tak
giraft panja-e-fanā meñ ḳhasta-hāl-o-ḳhūñ-chakāñ
hayāt-e-musta.ār hai zamīñ se āsmān tak
fuġhān-o-ashk-o-āh kā jigar-gudāz silsila
ba-lutf-e-kirdigār hai zamīñ se āsmān tak
matā-e-jabr-e-zindagī hameñ bhī jis ne kī atā
usī kā iḳhtiyār hai zamīñ se āsmān tak
farāz-e-arsh ke makīñ shikasta-dil hamīñ nahīñ
har ek be-qarār hai zamīñ se āsmān tak
Top Urdushayar.com