Raghib Muradabadi

haT jaen ab ye shams-o-qamar darmiyan se

Raghib Muradabadi

Delhi, India

1918-2011
haT jaa.eñ ab ye shams-o-qamar darmiyān se
merī zamīñ milegī gale āsmān se
siine meñ haiñ ḳhalā ke vo mahfūz aaj bhī
jo harf adā hue haiñ hamārī zabān se
vo mere hī qabīle kā bāġhī na ho kahīñ
ik tiir idhar ko aayā hai jis kī kamān se
sayyād ne kiyā hai usī ko asīr-e-dām
taa.ir jo dil-girafta rahā hai uḌaan se
nākāmiyoñ ne aur baḌhā.e haiñ hausle
guzrā huuñ jab kabhī maiñ kisī imtihān se
kahlā.e jis meñ rah ke hamesha kirāya-dār
kyā uns ho makīn ko aise makān se
kyuuñ pairvī pe un kī ho maa.il mirā dimāġh
'ġhālib' ke huuñ na 'mīr' ke maiñ ḳhāndān se
'rāġhib' ba-ehtiyāt hī lāzim hai guftugū
dushman ko bhī gazand na pahuñche zabān se
Top Urdushayar.com