shahr-e-nā-pursāñ meñ kuchh apnā pata miltā nahīñ
bām-o-dar raushan haiñ lekin rāsta miltā nahīñ
fasl-e-gul aisī ki arzāñ ho ga.e kāġhaz ke phuul
ab koī gul-pairahan zarrīñ-qabā miltā nahīñ
āshnā chehroñ se rañg-e-āshnā.ī uḌ gayā
ham-zabāñ ab ḳhushk pattoñ ke sivā miltā nahīñ
ek sannāTā hai shabnam se shuā-e-nūr tak
ab koī āñchal pas-e-mauj-e-sabā miltā nahīñ
hākimoñ ne shahr ke andar fasīleñ khīñch diiñ
din meñ bhī ab koī darvāza khulā miltā nahīñ
itne be-parvā irāde itne be-taufīq ġham
haath uThte haiñ magar harf-e-duā miltā nahīñ