tishna-kāmoñ ko yahāñ kaun subū detā hai
gul ko bhī haath lagāo to lahū detā hai
neshtar aur sahī kār-e-digar aur sahī
dil-e-sad-chāk agar izn-e-rafū detā hai
tāb-e-fariyād bhī de lazzat-e-bedād bhī de
dene vaale jo mujhe soz-e-gulū detā hai
ham to barbād hue barg-e-ḳhizāñ kī sūrat
shāḳh-e-gul kaun tujhe zauq-e-numū detā hai
munsifo haath se ab dashna-o-ḳhanjar rakh do
kyā burā hai agar insāf adū detā hai
ai ḳhudāvand mire sher kī qīmat kyā hai
ek roTī kā nivāla jise tū detā hai