abdurrahman momin

chand dhire se muskuraya hai

abdurrahman momin

Pakistan

1996
chāñd dhīre se muskurāyā hai
chāñd ko kaun yaad aayā hai
ḳhvāb meñ bhī nazar nahīñ aayā
raat jis ne mujhe jagāyā hai
ham nahīñ aa.e to gilā kaisā
aap ne kab hameñ bulāyā hai
jo likhā hī nahīñ gayā mujh se
dil ne vo giit gungunāyā hai
tū ne mujh ko banā diyā insān
maiñ ne tujh ko ḳhudā banāyā hai
tum se mil kar maiñ us ko bhuul gayā
jis ne tum se mujhe milāyā hai
Thair kar dekh to zarā 'momin'
maiñ nahīñ huuñ ye terā saaya hai
Top Urdushayar.com