Hasan Abidi

subh aankh khulti hai ek din nikalta hai

Hasan Abidi

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1929-2005
sub.h aañkh khultī hai ek din nikaltā hai
phir ye ek din barsoñ saath saath chaltā hai
kuchh na kuchh to hotā hai ik tire na hone se
varna aisī bātoñ par kaun haath maltā hai
qāfile to sahrā meñ thak ke so bhī jaate haiñ
chāñd bādaloñ ke saath saarī raat chaltā hai
dil charāġh-e-mahfil hai lekin us ke aane tak
baar baar bujhtā hai baar baar jaltā hai
kulfateñ judā.ī kī umr bhar nahīñ jātīñ
jī bahal to jaatā hai par kahāñ bahaltā hai
dil tapāñ nahīñ rahtā maiñ ġhazal nahīñ kahtā
ye sharār apnī hī aag se uchhaltā hai
maiñ bisāt-e-dānish kā duur se tamāshā.ī
dekhtā rahā shātir kaise chaal chaltā hai
Top Urdushayar.com