jab aql ne kar Daalā jazbāt se samjhauta
ham kyuuñ na kareñ apne hālāt se samjhauta
jiine ke liye āḳhir karnā hī paḌā mujh ko
din raat kī gardish meñ din raat se samjhauta
hālāt badalne meñ kuchh der nahīñ lagtī
behtar hai abhī kar leñ hālāt se samjhauta
jab us ne jhalak dekhī pastī meñ bulandī kī
sūraj ne kiyā baḌh kar zarrāt se samjhauta
āsān nahīñ apnī auqāt samajh lenā
mushkil hai bahut apnī auqāt se samjhauta
kī yuuñ to mire nafs-e-sarkash ne bahut koshish
TuuTā na mire sar kā sajdāt se samjhauta
har samt fazāoñ se barse to lahū barse
ye kis ne kiyā chhup kar barsāt se samjhauta
jab dil ke taqāzoñ ko ḳhud aql hī Thukrā de
tab ho bhī to kaise ho jazbāt se samjhauta
hālāt ne samjhauta ai 'sāz' kiyā mujh se
maiñ ne na kiyā apne hālāt se samjhauta