apne hī ghar meñ yuuñ hai mujhe apne ghar kī qaid
darkār jaise chhat ko ho dīvār-o-dar kī qaid
yuuñ zindagī ke saath rahī umr bhar kī qaid
lāzim ho jaise bahr-nazāra nazar kī qaid
āzād ho ke apnā asar DhūñDhtī phire
manzūr gar nahīñ hai duā ko asar kī qaid
is dahr ke azal se ye lail-o-nahār haiñ
sūraj ko din kī chāñd ko hai rāt-bhar kī qaid
āzād haiñ parind to parvāz ke liye
ye to batāo hai ki nahīñ bāl-o-par kī qaid
ai saaz kyuuñ na maut ko āvāz dījiye
gar aap ko qubūl nahīñ umr-bhar kī qaid